Skip to main content

Kasara Ghaat Igatpuri Travel Blog

Mumbai me hamesha travel karti rehti hu to hamne socha kahi dusri jagah travel kiya jaye aur humne Kasara ghaat jane ka plan banaya. Kasara ghaat jane ke liye humne Vasai se travel shuru kiya. Humne 4 wheeler se safar shuru kiya.

12 baje humne safar shuru kiya. Sabse pehle 2000 ka petrol dalwaya aur aage ki raste ki aur chal pade.Humne bhiwandi hote huye kasara ghaat ke aur chale. Nikalte waqt hamne wada pav aur bhajiya khaya aur barish ho rahi thi to bich me humne hault nhi liya.
travel blog
Kasara Ghaat Igatpuri Travel Blog

Kasara ke nazdik fog city hai jaha par aasman pura niche rehta aur charo taraf dhua hi dhua jo dekhne me bahut achha lagta hai. yahapar gadiya slow chalti hai coz aage ka rasta nahi dikhayi deta. Kasara station se jati huyi train ka nazara bhi amazing hota hai.

Agar aap train se kasara jana chahte hai to dadar se kasara ke liye train mil jati hai.
Kasar ghaat ke nazdik ek hotel me humne hault kiya. Waha humne Noodles dosa aur chai pi. Hotel ke bahar wooden ke products the jisme se maine ek spoon purchase ki aur ek khilona purchase ki.
Kasara ghaat ka nazara bahut hi achha tha. Dono taraf pahad aur bich se rasta aur behte huye jharne aapko bahut pasand aayege. Yaha bahut saare log ghumne aate hai aur nature ka nazara bahut hi amazing hota hai.


7 baje tak hum waha ruke aur bahut sari selfie aur video bhi liye.
Wahase hum Delhi darbar dhaba khane ke liye ruke lagbhag 8 baje hum waha pohch gaye the. Dhaba me khane ka bahut achha maza aata hai. Waha ki seating arrangement me aapko ghar ka maza mil jayega.Aur dhabe me bachho ke khelne ki liye jhule bhi lage huye hai. Aur dhabe par humne starter me chana fry aur chicken fry order ki aur dinner ke liye butter chicken, chicken shalimaar aur tandoori roti order ki aur delhi darbar dhaba ke khane me bahut hi achha taste hai. 10 Baje hum dhabe se nikle aur 11.30 ko hum ghar pohch gaye.


Aap ek bar kasara ghaat igatpuri aur delhi darbar dhaba zarur jaaye aapko sabhi chize pasand aayegi.

Other Travel Blog

Mahim Dargah Mumbai - MUmbai Famous Spot

Sanjay Gandhi National Park l Borivali Park Mumbai

Girgaum Chowpatty Mumbai l Mumbai Famous Beach

Comments

Popular posts from this blog

Mumbai Famous Shopping Spot Nakhuda Mohalla, Crawford market, Md.Ali Road

GhumnaaFirnaa Travel blog me aap sabka swagat hai. Aaj me Mumbai ke famous spot Nakhuda mohalla, Crawford market shopping ke liye jar ahi hu. Mumbai famous shopping spot hai.  Nakhuda Mohalla  Maine travel vasai se start kiya. Maine Vasai se   Churchgate ke liye local train pakdi. Vasai se Churchgate ka fair Return ticket Rs.30 hai. Vasai se Churchgate pohochne 1 hour lagta hai. Waise to grant road charni road ya marine lines se bhi taxi mil jati hai nakhuda mohalle ke liye par me Churchgate se jana prefer karti hu because yaha se taxi jaldi mil jati hai. Aur sath hi sath Crawford market bhi ghumkar age ja sakte hai. Churchgate utarne ke bad maine Crawford market ke liye taxi pakdi jiska fair 45 to 50 ke bich hota hai. Aur 15 minute ke andar hum pohch jate hai. Crawford Market Crawford market me aapko hamesha bhid milegi. Readymade cloths, Kitchen accesorries , Sandal shoes ho ya artificial flowers ke liye ye bahut achha market hai.  Crawford Market

Suncity Garden in Vasai West - Travel Blog Mumbai

Aaj me Vasai west ke Suncity garden me ghumne gayi thi. Suncity vasai ka famous spot hai ye Vasai aur nalasopara ke bich me aata hai. Vasai station se 100ft road se 1km aage jane par ye Garden hai.Agar aap bhi Vasai Park search kar rahe hai to aap ye park ek baar zarur visit kare. Suncity Garden In  Suncity park bahut hi bada complex hai aur complex ke aage Suncity Garden hai. Yahapar free entry hai. Suncity garden 2 part me devide hai. Raste ke ek taraf garden aur dusri taraf bhi garden banaya hai. Entry karne ke baad bachho ko khelne ke liye jhule lagaye hai. Aur aage bahut saare jhad aur podhe aapko dekhne mil jaayege. Baithne ke liye benches hai aur aaspas tree jo dekhne me bahut hi achha lagta hai. Yahapar bahut saare Rose tree lagaye hai jiske aaspas aap selfie ya video le sakte hai. choti si jheel bhi bani huyi hai aur round me garden banaya hai. Dusri taraf ka garden me bado ke exercise equipment lagaye hai jahapar bahut se log aakar exercise karte hai.

Vasai Beach Suruchi l How to reach Vasai Beach from Vasai Station l Vasai Beach Images

Mere Travel blog me aap sabka welcome. Aaj me Vasai beach ghumne jar ahi hu. Vasai Beach Suruchi ke naam se jana jaata hai. Vasai me bahut saare beach hai jaise kalamb beach, bhuigaon beach etc. Vasai Beach Mumbai Me Vasai me hi rehti hu aur mere ghar se ye beach sirf 15 minute ki duri par hai aur mere pas Activa hai to mujhe jane me aasani hoti hai. Sham ke waqt beach par kayi log ghumne aate hai. Khaskar Saturday Sunday yahapar bahut bheed hoti hai. How to reach vasai beach : Vasai Station se Suruchi ke liye Sharing Auto Rs.30 me mil jayegi ya bus se bhi aa sakte hai   par Bus aapko suruchi tak nahi lekar jayegi Parnaka bus aapko milegi wahase walking distance 15 to 20 minutes hai. Ya fir special auto karke bhi aa sakte hai. Vasai beach Suruchi  Suruchi me beach ke aaspas bahut sare tree hai jaha photoshoot kar skate hai ya family friends ke sath time spend kar sakte hai. Bahut se log yaha lunch ka saman lekar aate hai aur yahi par khate bhi hai. Yaha