Skip to main content

Posts

Showing posts with the label travel blog

Haji Ali Blog 2018 l हाजी अली दरगाह मुंबई l Mumbai Famous Haji Ali Dargah Travel Blog

हाजी अली ब्लॉग आज में आपके साथ शेयर कर रही हु. हाजी अली दरगाह वैसे तो में बहुत बार जा चुकी हु पर हर बार जाने का यहाँ मज़ा है. हाजी अली दरगाह मुंबई में सबसे लोकप्रिय स्थानों में से एक है. यहाँ हर धर्म के लोग दर्शन लेने आते है. हाजी अली दरगाह सबसे प्रसिद्ध और प्रतिष्ठित स्थलों में से एक है. हाजी अली दरगाह पीर हाजी अली शाह बुखारी (R.A) की मकबरा है. मकबरे के साथ हाजी अली में एक मस्जिद भी है. ये दरगाह सफ़ेद गुमद और मीनार है. हर दिन १०००० से १५००० लोग रोज़ दरगाह पर जियारत करने आते है. ईद और बकरी ईद के दुसरे दिन लाखो लोग दूर दूर से आते है. सभी धर्म जाती के लोग यहाँ आकर दुआ करते है और फूलो की चादर चढाते है. Haji ali dargah blog हाजी अली दरगाह  में लोकल ट्रेन से मुंबई सेंट्रल उतरीं मुबई सेंट्रल स्टेशन से टैक्सी जाती है जिसका किराया बीस रूपए होता है. आप byroad भी आ सकते है. हाजी अली दरगाह के सामने के रोड पर टैक्सी उतारती है और निचे सबवे में आपको बहुत सारी shopping करने की चीज़े मिल जाएगी. बच्चों के लिए खिलोने पर्स नेकलेस ऐसी सभी चीज़े मिल जाएगी. हाजी अली मुंबई के वरली की खाड़ी में स...

Vasai Fish Market l Vasai Fish Market Address l Travel Blog

Vasai Fish Market : Aaj me Vasai Fish Market me gayi thi jo Vasai west me pachu bandar pe hai.   Ye fish Market mere gharse 10 minute ki duri par hai. Vasai ka ye Fish market wholesale aur retail dono ke liye famous hai. Yaha Fresh aur Reasonable Fish aapko mil jayegi. Vasai Fish Market Vasai ka ye bahut purana fish market hai jaha par fish retail aur wholesale dono mil jayega. Ye fish market me har tarah ki fish ki variety aapko dekhne milegi. Aur local market se kam price me mil jayegi. Agar aap retail me fish lene aaye to achhi tarah se bargening kare. Rate bahut high bolte hai par kam karke aapko mil jayega. Local public aur hotel aur retail me bechnewale sabhi yaha se fish karidne aate hai.  Vasai Fish Market Address & Timing Vasai ke pachu bandar pohchne ke liye bus hai jo aapko direct pachu bandar utaregi. Aur auto se bhi aa sakte hai par auto se pehle parnaka utarna padega fir aage pachu bandar ke liye auto milegi. Ye fish market morning me ...

Kasara Ghaat Igatpuri Travel Blog

Mumbai me hamesha travel karti rehti hu to hamne socha kahi dusri jagah travel kiya jaye aur humne Kasara ghaat jane ka plan banaya. Kasara ghaat jane ke liye humne Vasai se travel shuru kiya. Humne 4 wheeler se safar shuru kiya. 12 baje humne safar shuru kiya. Sabse pehle 2000 ka petrol dalwaya aur aage ki raste ki aur chal pade.Humne bhiwandi hote huye kasara ghaat ke aur chale. Nikalte waqt hamne wada pav aur bhajiya khaya aur barish ho rahi thi to bich me humne hault nhi liya. Kasara Ghaat Igatpuri Travel Blog Kasara ke nazdik fog city hai jaha par aasman pura niche rehta aur charo taraf dhua hi dhua jo dekhne me bahut achha lagta hai. yahapar gadiya slow chalti hai coz aage ka rasta nahi dikhayi deta. Kasara station se jati huyi train ka nazara bhi amazing hota hai. Agar aap train se kasara jana chahte hai to dadar se kasara ke liye train mil jati hai. Kasar ghaat ke nazdik ek hotel me humne hault kiya. Waha humne Noodles dosa aur chai pi. Hotel ke bahar wooden ke pr...

गिर्गौम चौपाटी घुमे मेरे साथ - Girgaon (girgaum) Chopatty Beach of Mumbai

Aaj hum girgaon (girgaum) chowpatty par ghumne ja rahe hai jaha par sham ke waqt abhut hi achha nazara hota hai. Girgaum Chowpatty ke aaspas buildings ka nazara aur behta hua samandar dekhna bahut hi amazing lagta hai. Behta hua samandar ka pani aur lehre aati huyi dekhne me bada maza aata hai. Girgaum chowpatty Giragaum chowpatty Near Railway Station : Local Train se Charni road utarkar west me jana hai aur 5 se 6 minute walking karke aap girgaum chowpatty pohch jayege.Bombay central ke baad dusra station charni road hai. Aur churchgate se train pakde hai tab bhi dusra station charni road hai. Girgaum chowpatty expense : Chowpatty ke andar chatayi milti hai jo 20rs. me milti hai. Aur aap jitni der baithna chahe baith sakte hai. Chowpatty ke aaspas khane ke kayi stalls hai par aise bhi bahut si chiz wale ghumte rehte hai jaise chai. icecream, bhel etc. Sham ke waqt chowpatty par bahut bhid hoti hai aur bahut hi achha nazara hota hai. Sab apne family friends ke sat...