Aaj me Vasai Fort ghumne ja rahi hu jo mere ghar ke nazdik me hi hai. Yahapar me month me ek baar ghumne aa jati hu. Bassein Fort ya Vasai killa khaskar sunday ko because sunday ko bahut se log ghumne aate hai aur maza bhi aata hai.
Fort Bassein jo Vasai Fort ya Fort Baccaim ke naam se bhi jana jaata hai. Kokan Division me Maharashtra ke Palghar district ke Vasai gaon me bahot bada Killa hai. Pehle is kile pe Gujrat ke sultan ka raaj tha. Baadme portugal, maratha fir angrejo ne hukumat chalayi. Ye samandar se najdik hai iska istemaal bandargaah ke roop me bhi hota tha.
Kille ke nazdik samandar bhi hai. jaha bahut se log ghumne aate hai. sham ke waqt yahapar bahut achha lagta hai.
Vasai station se 10 se 12 km dur hai. Vasai kile tak pohochne ke liye aap Vasai station se Auto ya bus se aa sakte hai. Vasai kille me bahot saari films ki shooting hoti rehti hai. Aur prewedding shoot ke liye bhi ye best jagah hai.
Vasai fort bahut bada hai. charo taraf jhad aur bich se rasta jaata hai jo dekhne me bahut hi achha lagta hai. Vasai fort ke nazdik ek dargah bhi hai jaha bahut se log ziyarat ke liye aate hai. Aur jab is dargah ka uroos hota hai tab yaha bahut bhid hoti hai.
Vasai fort ghumne ke liye aapko koi ticket kharidni nahi padti ye free hai aur na koi guide aapko yaha milega aur na kile ki information milegi.Kille ko maintain nahi kiya gaya hai par ab iski marmmat ka kaam chal raha hai. Chimaji appa ka smarak yaha par bana hua hai jo ghode par savaar hai.
Vasai kille ke andar se rasta jaata hai jaha ek gaon bhi basa hai jahapar sab Machuare rehte hai. Aur bahut hi friendly hote hai.
Me aapko suggest karugi agar aap ghumne aana chahte hai to aap sunday ke din aaye to aapko ghumne me jyada maza aayega aur sunday ke din yaha khane ke stall bhi rehte hai jaise pani puri gola aur barish ke season me bhutta to aap sath sath khane ka maza bhi le sakte hai.
To aapko mere sath vasai fort ghumkar kaisa laga mujhe comment karke zarur batana. Have a nice journey ahead.
Other Mumbai Travel Blog :
Mahim Dargah Mumbai - MUmbai Famous Spot
Sanjay Gandhi National Park l Borivali Park Mumbai
Girgaum Chowpatty Mumbai l Mumbai Famous Beach

Comments
Post a Comment