Skip to main content

Posts

Showing posts from August, 2018

Vasai Fish Market l Vasai Fish Market Address l Travel Blog

Vasai Fish Market : Aaj me Vasai Fish Market me gayi thi jo Vasai west me pachu bandar pe hai.   Ye fish Market mere gharse 10 minute ki duri par hai. Vasai ka ye Fish market wholesale aur retail dono ke liye famous hai. Yaha Fresh aur Reasonable Fish aapko mil jayegi. Vasai Fish Market Vasai ka ye bahut purana fish market hai jaha par fish retail aur wholesale dono mil jayega. Ye fish market me har tarah ki fish ki variety aapko dekhne milegi. Aur local market se kam price me mil jayegi. Agar aap retail me fish lene aaye to achhi tarah se bargening kare. Rate bahut high bolte hai par kam karke aapko mil jayega. Local public aur hotel aur retail me bechnewale sabhi yaha se fish karidne aate hai.  Vasai Fish Market Address & Timing Vasai ke pachu bandar pohchne ke liye bus hai jo aapko direct pachu bandar utaregi. Aur auto se bhi aa sakte hai par auto se pehle parnaka utarna padega fir aage pachu bandar ke liye auto milegi. Ye fish market morning me 7 baje se

Suncity Garden in Vasai West - Travel Blog Mumbai

Aaj me Vasai west ke Suncity garden me ghumne gayi thi. Suncity vasai ka famous spot hai ye Vasai aur nalasopara ke bich me aata hai. Vasai station se 100ft road se 1km aage jane par ye Garden hai.Agar aap bhi Vasai Park search kar rahe hai to aap ye park ek baar zarur visit kare. Suncity Garden In  Suncity park bahut hi bada complex hai aur complex ke aage Suncity Garden hai. Yahapar free entry hai. Suncity garden 2 part me devide hai. Raste ke ek taraf garden aur dusri taraf bhi garden banaya hai. Entry karne ke baad bachho ko khelne ke liye jhule lagaye hai. Aur aage bahut saare jhad aur podhe aapko dekhne mil jaayege. Baithne ke liye benches hai aur aaspas tree jo dekhne me bahut hi achha lagta hai. Yahapar bahut saare Rose tree lagaye hai jiske aaspas aap selfie ya video le sakte hai. choti si jheel bhi bani huyi hai aur round me garden banaya hai. Dusri taraf ka garden me bado ke exercise equipment lagaye hai jahapar bahut se log aakar exercise karte hai.

Kasara Ghaat Igatpuri Travel Blog

Mumbai me hamesha travel karti rehti hu to hamne socha kahi dusri jagah travel kiya jaye aur humne Kasara ghaat jane ka plan banaya. Kasara ghaat jane ke liye humne Vasai se travel shuru kiya. Humne 4 wheeler se safar shuru kiya. 12 baje humne safar shuru kiya. Sabse pehle 2000 ka petrol dalwaya aur aage ki raste ki aur chal pade.Humne bhiwandi hote huye kasara ghaat ke aur chale. Nikalte waqt hamne wada pav aur bhajiya khaya aur barish ho rahi thi to bich me humne hault nhi liya. Kasara Ghaat Igatpuri Travel Blog Kasara ke nazdik fog city hai jaha par aasman pura niche rehta aur charo taraf dhua hi dhua jo dekhne me bahut achha lagta hai. yahapar gadiya slow chalti hai coz aage ka rasta nahi dikhayi deta. Kasara station se jati huyi train ka nazara bhi amazing hota hai. Agar aap train se kasara jana chahte hai to dadar se kasara ke liye train mil jati hai. Kasar ghaat ke nazdik ek hotel me humne hault kiya. Waha humne Noodles dosa aur chai pi. Hotel ke bahar wooden ke pr

Mahim Ki Dargah Travel Blog - Makhdoom Shah Baba Dargah Mahim - Mumbai Dargah

Mahim ki Dargah jo mumbai me bahut hi famous hai. Makhdoom Fakih Ali Mahimi ke naam se hai jo arab ke rehnewale the aur mahim me aakar bas gaye the. Yaha dur dur se sabhi religion ke log ziyaarat karne aate hai. Mumbai ke kayi bollywood celebrities bhi jiyarat karne aate hai. Ye dargah Mahim Ki Dargah Travel Blog Baba ke kayi kisse mashhoor hai jinme se ek unki maa ka hai. Unki ma ne ek din rat me pani manga aur Baba pani lekar aaye tab unki maa ki ankh lag gayi aur subah uthe tab tak baba pani lekar khade the to unki maa ne unhe bahut duwaye di. aur aaj unki kirti duniyabhar me hai. Mahim Dargah Address  Mahim ki dargah jane ke liye Mahim station se mahim west se walking distance hai 10 minutes ka.Dargah me entry karte waqt aap chaddar ya phool chadhane ke liye le sakte hai. Dargah ke pas masjid bhi hai jaha aap namaz bhi padh sakte hai. Ladies aur gents ki entry alag alag di gayi hai. Andar baithne ke liye bhi achha space hai jaha aurte aur mard baithkar padhte hai. Mah

Vasai Tamtalao Lake and Jogging Park l Park in Vasai l Mumbai blog

Aaj me Vasai Tamtalao lake and jogging park me gyi thi jo mere gharse 15 minutes ki duri par hai. Waise ye park me kayi bar ja chuki hu par blog aaj me likh rahi hu. Vasai me waise to bahut jagah hai ghumne ki jaise Vasai Sururchi beach , Vasai Fort etc. Par Is Park me bhi kayi log ghumne aate hai khaskar weekend me. Park ke bich me lake hai jo dekhne me bahut achha lagta hai aur attraction ka bhi part hai.  Bich me lake aur side me ghumne ki jagah banayi gyi hai. Bahut sare log morning aur evening me walk karte huye dikhayi dege. Park me visitors ke liye exercise ki kuch machine bhi lagayi gyi hai jisse exercise kar sakte hai aur bahut se log khaskar exercise ke liye is park me visit karte hai. Bachho ko khelne ke liye ek taraf rides aur jhule lage huye hai jaha bado ke sath bachhe bhi enjoy kar sakte hai.  Park mebaithne ke liye pure round me bench lage huye hai to aap waha baithkar relax bhi ho sakte hai aur apne friends family ke sath baithkar bate kar sakte hai.

Sanjay Gandhi National Park Entry Fees 2018 l Mumbai Travel Blog l Borivali National Park

Aaj me Sanjay Gandhi National Park ghumne gyi thi. Jo mumbai ka 104sq km. cover karta hai aur Asia ka most visited National park hai jiske 2 million annual visitor hai. Sanjay gandhi national park  Largest park in the world within city limits. Sanjay gandhi national park city ke nazdik hone ke sath ekmatra forest reserve ke liye mana jata hai. Sanjay Gandhi National Park Borivali  Sanjay gandhi National park jise Borivali National park ke nam se jana jata hai. Duniya bhar se 10 lakh se jyada log yaha ghumne aate hai. Ye park ka main attraction yaha ka atmosphere falura aur fauna hai. Main Vasai se safar shuru kiya aur Local train se Borivali hault ki. Vasai se Borivali ka return ticket Rs.20 hai. Borivali east me jakar auto mil jayegi national park ke liye jiska fair Rs.18 hai. Walking distance 15 minutes. SGNP ghumne ke liye atleast adha din zaruri hai tabhi aap achhi tarah se park ghum payege. National Park me bahut sare ghumne ke option hai jaise Kanheri caves, Toy train

Vasai Beach Suruchi l How to reach Vasai Beach from Vasai Station l Vasai Beach Images

Mere Travel blog me aap sabka welcome. Aaj me Vasai beach ghumne jar ahi hu. Vasai Beach Suruchi ke naam se jana jaata hai. Vasai me bahut saare beach hai jaise kalamb beach, bhuigaon beach etc. Vasai Beach Mumbai Me Vasai me hi rehti hu aur mere ghar se ye beach sirf 15 minute ki duri par hai aur mere pas Activa hai to mujhe jane me aasani hoti hai. Sham ke waqt beach par kayi log ghumne aate hai. Khaskar Saturday Sunday yahapar bahut bheed hoti hai. How to reach vasai beach : Vasai Station se Suruchi ke liye Sharing Auto Rs.30 me mil jayegi ya bus se bhi aa sakte hai   par Bus aapko suruchi tak nahi lekar jayegi Parnaka bus aapko milegi wahase walking distance 15 to 20 minutes hai. Ya fir special auto karke bhi aa sakte hai. Vasai beach Suruchi  Suruchi me beach ke aaspas bahut sare tree hai jaha photoshoot kar skate hai ya family friends ke sath time spend kar sakte hai. Bahut se log yaha lunch ka saman lekar aate hai aur yahi par khate bhi hai. Yaha

Mumbai Famous Shopping Spot Nakhuda Mohalla, Crawford market, Md.Ali Road

GhumnaaFirnaa Travel blog me aap sabka swagat hai. Aaj me Mumbai ke famous spot Nakhuda mohalla, Crawford market shopping ke liye jar ahi hu. Mumbai famous shopping spot hai.  Nakhuda Mohalla  Maine travel vasai se start kiya. Maine Vasai se   Churchgate ke liye local train pakdi. Vasai se Churchgate ka fair Return ticket Rs.30 hai. Vasai se Churchgate pohochne 1 hour lagta hai. Waise to grant road charni road ya marine lines se bhi taxi mil jati hai nakhuda mohalle ke liye par me Churchgate se jana prefer karti hu because yaha se taxi jaldi mil jati hai. Aur sath hi sath Crawford market bhi ghumkar age ja sakte hai. Churchgate utarne ke bad maine Crawford market ke liye taxi pakdi jiska fair 45 to 50 ke bich hota hai. Aur 15 minute ke andar hum pohch jate hai. Crawford Market Crawford market me aapko hamesha bhid milegi. Readymade cloths, Kitchen accesorries , Sandal shoes ho ya artificial flowers ke liye ye bahut achha market hai.  Crawford Market

गिर्गौम चौपाटी घुमे मेरे साथ - Girgaon (girgaum) Chopatty Beach of Mumbai

Aaj hum girgaon (girgaum) chowpatty par ghumne ja rahe hai jaha par sham ke waqt abhut hi achha nazara hota hai. Girgaum Chowpatty ke aaspas buildings ka nazara aur behta hua samandar dekhna bahut hi amazing lagta hai. Behta hua samandar ka pani aur lehre aati huyi dekhne me bada maza aata hai. Girgaum chowpatty Giragaum chowpatty Near Railway Station : Local Train se Charni road utarkar west me jana hai aur 5 se 6 minute walking karke aap girgaum chowpatty pohch jayege.Bombay central ke baad dusra station charni road hai. Aur churchgate se train pakde hai tab bhi dusra station charni road hai. Girgaum chowpatty expense : Chowpatty ke andar chatayi milti hai jo 20rs. me milti hai. Aur aap jitni der baithna chahe baith sakte hai. Chowpatty ke aaspas khane ke kayi stalls hai par aise bhi bahut si chiz wale ghumte rehte hai jaise chai. icecream, bhel etc. Sham ke waqt chowpatty par bahut bhid hoti hai aur bahut hi achha nazara hota hai. Sab apne family friends ke sat