Skip to main content

Vasai Fish Market l Vasai Fish Market Address l Travel Blog


Vasai Fish Market : Aaj me Vasai Fish Market me gayi thi jo Vasai west me pachu bandar pe hai.  Ye fish Market mere gharse 10 minute ki duri par hai. Vasai ka ye Fish market wholesale aur retail dono ke liye famous hai. Yaha Fresh aur Reasonable Fish aapko mil jayegi.

travel blog
Vasai Fish Market

Vasai ka ye bahut purana fish market hai jaha par fish retail aur wholesale dono mil jayega. Ye fish market me har tarah ki fish ki variety aapko dekhne milegi. Aur local market se kam price me mil jayegi.
Agar aap retail me fish lene aaye to achhi tarah se bargening kare. Rate bahut high bolte hai par kam karke aapko mil jayega. Local public aur hotel aur retail me bechnewale sabhi yaha se fish karidne aate hai. 

Vasai Fish Market Address & Timing

Vasai ke pachu bandar pohchne ke liye bus hai jo aapko direct pachu bandar utaregi. Aur auto se bhi aa sakte hai par auto se pehle parnaka utarna padega fir aage pachu bandar ke liye auto milegi.
Ye fish market morning me 7 baje se 9 baje tak hi rehta hai. Morning me jaldi aayege to aapko fish jyada achhi milegi. Last last me market khatam hone lagta hai.
Fish Fresh hai kaise check kare

Fish fresh rahegi to uski smell nahi aayegi. Agar aap paplet (pomfret) fish le rahe hai to fish ka mu press kare agar white pani nikle to fish fresh hai aur skin bhi kadak hogi naram nahi hogi.
Aur Prawns le rahe rahe to skin kadak hogi naram nahi hogi.

Fish Rate :

Maine market se 10pc paplet (pomfret)  liye jiska rate 1500 bataya tha maine bargain karke 750 me liya almost half rate kam ho jata hai is baat ka dhyan rakhkar le.
Aur surmayi fish li jiska 1 surmayi ka rate  Rs.500 bataya tha wo fish maine Rs.200 me li.

Other Travel Blog :

Mahim Dargah Mumbai - MUmbai Famous Spot

Sanjay Gandhi National Park l Borivali Park Mumbai

Girgaum Chowpatty Mumbai l Mumbai Famous Beach

Comments

  1. I like your post very much this post is very nice information keep sharing me same day jaipur tour by car

    ReplyDelete
  2. Very nice post.
    Wrote your very good content. I thank you for giving me such content. Overnight agra tour

    ReplyDelete
  3. Thanks for information! Keep updating.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mumbai Famous Shopping Spot Nakhuda Mohalla, Crawford market, Md.Ali Road

GhumnaaFirnaa Travel blog me aap sabka swagat hai. Aaj me Mumbai ke famous spot Nakhuda mohalla, Crawford market shopping ke liye jar ahi hu. Mumbai famous shopping spot hai.  Nakhuda Mohalla  Maine travel vasai se start kiya. Maine Vasai se   Churchgate ke liye local train pakdi. Vasai se Churchgate ka fair Return ticket Rs.30 hai. Vasai se Churchgate pohochne 1 hour lagta hai. Waise to grant road charni road ya marine lines se bhi taxi mil jati hai nakhuda mohalle ke liye par me Churchgate se jana prefer karti hu because yaha se taxi jaldi mil jati hai. Aur sath hi sath Crawford market bhi ghumkar age ja sakte hai. Churchgate utarne ke bad maine Crawford market ke liye taxi pakdi jiska fair 45 to 50 ke bich hota hai. Aur 15 minute ke andar hum pohch jate hai. Crawford Market Crawford market me aapko hamesha bhid milegi. Readymade cloths, Kitchen accesorries , Sandal shoes ho ya artificial flowers ke liye ye bahut achha market hai.  Crawford Market

Suncity Garden in Vasai West - Travel Blog Mumbai

Aaj me Vasai west ke Suncity garden me ghumne gayi thi. Suncity vasai ka famous spot hai ye Vasai aur nalasopara ke bich me aata hai. Vasai station se 100ft road se 1km aage jane par ye Garden hai.Agar aap bhi Vasai Park search kar rahe hai to aap ye park ek baar zarur visit kare. Suncity Garden In  Suncity park bahut hi bada complex hai aur complex ke aage Suncity Garden hai. Yahapar free entry hai. Suncity garden 2 part me devide hai. Raste ke ek taraf garden aur dusri taraf bhi garden banaya hai. Entry karne ke baad bachho ko khelne ke liye jhule lagaye hai. Aur aage bahut saare jhad aur podhe aapko dekhne mil jaayege. Baithne ke liye benches hai aur aaspas tree jo dekhne me bahut hi achha lagta hai. Yahapar bahut saare Rose tree lagaye hai jiske aaspas aap selfie ya video le sakte hai. choti si jheel bhi bani huyi hai aur round me garden banaya hai. Dusri taraf ka garden me bado ke exercise equipment lagaye hai jahapar bahut se log aakar exercise karte hai.

Vasai Beach Suruchi l How to reach Vasai Beach from Vasai Station l Vasai Beach Images

Mere Travel blog me aap sabka welcome. Aaj me Vasai beach ghumne jar ahi hu. Vasai Beach Suruchi ke naam se jana jaata hai. Vasai me bahut saare beach hai jaise kalamb beach, bhuigaon beach etc. Vasai Beach Mumbai Me Vasai me hi rehti hu aur mere ghar se ye beach sirf 15 minute ki duri par hai aur mere pas Activa hai to mujhe jane me aasani hoti hai. Sham ke waqt beach par kayi log ghumne aate hai. Khaskar Saturday Sunday yahapar bahut bheed hoti hai. How to reach vasai beach : Vasai Station se Suruchi ke liye Sharing Auto Rs.30 me mil jayegi ya bus se bhi aa sakte hai   par Bus aapko suruchi tak nahi lekar jayegi Parnaka bus aapko milegi wahase walking distance 15 to 20 minutes hai. Ya fir special auto karke bhi aa sakte hai. Vasai beach Suruchi  Suruchi me beach ke aaspas bahut sare tree hai jaha photoshoot kar skate hai ya family friends ke sath time spend kar sakte hai. Bahut se log yaha lunch ka saman lekar aate hai aur yahi par khate bhi hai. Yaha