Skip to main content

Vasai Tamtalao Lake and Jogging Park l Park in Vasai l Mumbai blog

Aaj me Vasai Tamtalao lake and jogging park me gyi thi jo mere gharse 15 minutes ki duri par hai. Waise ye park me kayi bar ja chuki hu par blog aaj me likh rahi hu. Vasai me waise to bahut jagah hai ghumne ki jaise Vasai Sururchi beach, Vasai Fort etc. Par Is Park me bhi kayi log ghumne aate hai khaskar weekend me.
Park ke bich me lake hai jo dekhne me bahut achha lagta hai aur attraction ka bhi part hai.  Bich me lake aur side me ghumne ki jagah banayi gyi hai. Bahut sare log morning aur evening me walk karte huye dikhayi dege.
Park me visitors ke liye exercise ki kuch machine bhi lagayi gyi hai jisse exercise kar sakte hai aur bahut se log khaskar exercise ke liye is park me visit karte hai.
Bachho ko khelne ke liye ek taraf rides aur jhule lage huye hai jaha bado ke sath bachhe bhi enjoy kar sakte hai.
 Park mebaithne ke liye pure round me bench lage huye hai to aap waha baithkar relax bhi ho sakte hai aur apne friends family ke sath baithkar bate kar sakte hai.
 Park me cleanliness achhi hai. Park me greenary bhi maintain ki gayi hai. Alag alag tarah ke tree aur charo taraf tree aur bich me park dekhne me bahut hi achha lagta hai. Aur pollution bhari bhid se yahapar sukkon milta hai.
 Park ke aaspas khane ke liye Andy burger king hai jaha burger french fries etc khane mil jayega aur shorba center bhi hai jaha famous shorba khane mil jayega. Waise vasai me aur bhi famous street food hai jaha par aap khana enjoy kar sakte hai.

Aapko ye park ki information kaisi lagi zarur comment karke baitaiyega.

Other Mumbai Travel Blog :

Sanjay Gandhi Natioanl Park Borivali

Nakhuda Mohalla Crawford Market

Girgaum Chowpatty Mumbai 

Comments

  1. Aapne is jogging track ki length nai mention ki hai. Walking me ek round me kitna distance cover hota hai

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mumbai Famous Shopping Spot Nakhuda Mohalla, Crawford market, Md.Ali Road

GhumnaaFirnaa Travel blog me aap sabka swagat hai. Aaj me Mumbai ke famous spot Nakhuda mohalla, Crawford market shopping ke liye jar ahi hu. Mumbai famous shopping spot hai.  Nakhuda Mohalla  Maine travel vasai se start kiya. Maine Vasai se   Churchgate ke liye local train pakdi. Vasai se Churchgate ka fair Return ticket Rs.30 hai. Vasai se Churchgate pohochne 1 hour lagta hai. Waise to grant road charni road ya marine lines se bhi taxi mil jati hai nakhuda mohalle ke liye par me Churchgate se jana prefer karti hu because yaha se taxi jaldi mil jati hai. Aur sath hi sath Crawford market bhi ghumkar age ja sakte hai. Churchgate utarne ke bad maine Crawford market ke liye taxi pakdi jiska fair 45 to 50 ke bich hota hai. Aur 15 minute ke andar hum pohch jate hai. Crawford Market Crawford market me aapko hamesha bhid milegi. Readymade cloths, Kitchen accesorries , Sandal shoes ho ya artificial flowers ke liye ye bahut achha market hai.  Crawford Market

Suncity Garden in Vasai West - Travel Blog Mumbai

Aaj me Vasai west ke Suncity garden me ghumne gayi thi. Suncity vasai ka famous spot hai ye Vasai aur nalasopara ke bich me aata hai. Vasai station se 100ft road se 1km aage jane par ye Garden hai.Agar aap bhi Vasai Park search kar rahe hai to aap ye park ek baar zarur visit kare. Suncity Garden In  Suncity park bahut hi bada complex hai aur complex ke aage Suncity Garden hai. Yahapar free entry hai. Suncity garden 2 part me devide hai. Raste ke ek taraf garden aur dusri taraf bhi garden banaya hai. Entry karne ke baad bachho ko khelne ke liye jhule lagaye hai. Aur aage bahut saare jhad aur podhe aapko dekhne mil jaayege. Baithne ke liye benches hai aur aaspas tree jo dekhne me bahut hi achha lagta hai. Yahapar bahut saare Rose tree lagaye hai jiske aaspas aap selfie ya video le sakte hai. choti si jheel bhi bani huyi hai aur round me garden banaya hai. Dusri taraf ka garden me bado ke exercise equipment lagaye hai jahapar bahut se log aakar exercise karte hai.

Vasai Beach Suruchi l How to reach Vasai Beach from Vasai Station l Vasai Beach Images

Mere Travel blog me aap sabka welcome. Aaj me Vasai beach ghumne jar ahi hu. Vasai Beach Suruchi ke naam se jana jaata hai. Vasai me bahut saare beach hai jaise kalamb beach, bhuigaon beach etc. Vasai Beach Mumbai Me Vasai me hi rehti hu aur mere ghar se ye beach sirf 15 minute ki duri par hai aur mere pas Activa hai to mujhe jane me aasani hoti hai. Sham ke waqt beach par kayi log ghumne aate hai. Khaskar Saturday Sunday yahapar bahut bheed hoti hai. How to reach vasai beach : Vasai Station se Suruchi ke liye Sharing Auto Rs.30 me mil jayegi ya bus se bhi aa sakte hai   par Bus aapko suruchi tak nahi lekar jayegi Parnaka bus aapko milegi wahase walking distance 15 to 20 minutes hai. Ya fir special auto karke bhi aa sakte hai. Vasai beach Suruchi  Suruchi me beach ke aaspas bahut sare tree hai jaha photoshoot kar skate hai ya family friends ke sath time spend kar sakte hai. Bahut se log yaha lunch ka saman lekar aate hai aur yahi par khate bhi hai. Yaha