Skip to main content

गिर्गौम चौपाटी घुमे मेरे साथ - Girgaon (girgaum) Chopatty Beach of Mumbai

Aaj hum girgaon (girgaum) chowpatty par ghumne ja rahe hai jaha par sham ke waqt abhut hi achha nazara hota hai. Girgaum Chowpatty ke aaspas buildings ka nazara aur behta hua samandar dekhna bahut hi amazing lagta hai. Behta hua samandar ka pani aur lehre aati huyi dekhne me bada maza aata hai.
travel
Girgaum chowpatty

Giragaum chowpatty Near Railway Station :
Local Train se Charni road utarkar west me jana hai aur 5 se 6 minute walking karke aap girgaum chowpatty pohch jayege.Bombay central ke baad dusra station charni road hai. Aur churchgate se train pakde hai tab bhi dusra station charni road hai.


Girgaum chowpatty expense :
Chowpatty ke andar chatayi milti hai jo 20rs. me milti hai. Aur aap jitni der baithna chahe baith sakte hai. Chowpatty ke aaspas khane ke kayi stalls hai par aise bhi bahut si chiz wale ghumte rehte hai jaise chai. icecream, bhel etc.


Sham ke waqt chowpatty par bahut bhid hoti hai aur bahut hi achha nazara hota hai. Sab apne family friends ke sath enjoy karte huye nazar aate hai. Bachhe aur bade lehro me khelte huye dikhayi dege aur bahut se log baithkar kuch kha pikar maza lete hai. Couple ke liye bhi ye ghumne ki achhi jagah hai.

Girgaum chowpatty Food :
Beach ke paas kayi saare fast food ke stall lage huye hai. Fast food ke ye stall mumbai me bahut famous hai. Jaha aapko Veg Fast food mil jayega kaise pani puri sandwich pizza pav bhaji etc. Sath hi sath Ice cream ki bhi bahut saari variety aapko mil jayegi aur gola bhi khane mil jayega.



Humne Pav Bhaji Pizza Masala dosa order kiya tha jisme mujhe sabse jyada masala dosa pasand aaya. Aur icecream me maine mix icecream li thi jo aapko dobara khane par majboor kar degi because khane me bahut hi delicious hoti hai.


Marine Drive :
Beach par ghumne ke bad agar aap marine drive bhi ghumna chahte hai sirf 5 minute walking karke aap marine drive ka bhi maza le sakte hai.Marine drive Mumbai ka Most popular sunset watching spot hai Jo sham ke waqt couple family aur friends se bhara hua hota hai. Aur samandar ki hawa aur wahapar baithna aapko bahut pasand aayega.


Me aapko kahugi aap yahapar ek baar zarur ghumne jaaye full paisa wasool jagah hai mumbai me ghumne ki.Aapko ye information kaisi lagi zarur bataiyga.

Thank u...

Other travel blog

Mahim Dargah Mumbai - MUmbai Famous Spot

Sanjay Gandhi National Park l Borivali Park Mumbai


Comments

Popular posts from this blog

Mumbai Famous Shopping Spot Nakhuda Mohalla, Crawford market, Md.Ali Road

GhumnaaFirnaa Travel blog me aap sabka swagat hai. Aaj me Mumbai ke famous spot Nakhuda mohalla, Crawford market shopping ke liye jar ahi hu. Mumbai famous shopping spot hai.  Nakhuda Mohalla  Maine travel vasai se start kiya. Maine Vasai se   Churchgate ke liye local train pakdi. Vasai se Churchgate ka fair Return ticket Rs.30 hai. Vasai se Churchgate pohochne 1 hour lagta hai. Waise to grant road charni road ya marine lines se bhi taxi mil jati hai nakhuda mohalle ke liye par me Churchgate se jana prefer karti hu because yaha se taxi jaldi mil jati hai. Aur sath hi sath Crawford market bhi ghumkar age ja sakte hai. Churchgate utarne ke bad maine Crawford market ke liye taxi pakdi jiska fair 45 to 50 ke bich hota hai. Aur 15 minute ke andar hum pohch jate hai. Crawford Market Crawford market me aapko hamesha bhid milegi. Readymade cloths, Kitchen accesorries , Sandal shoes ho ya artificial flowers ke liye ye bahut achha market hai.  Crawford Market

Suncity Garden in Vasai West - Travel Blog Mumbai

Aaj me Vasai west ke Suncity garden me ghumne gayi thi. Suncity vasai ka famous spot hai ye Vasai aur nalasopara ke bich me aata hai. Vasai station se 100ft road se 1km aage jane par ye Garden hai.Agar aap bhi Vasai Park search kar rahe hai to aap ye park ek baar zarur visit kare. Suncity Garden In  Suncity park bahut hi bada complex hai aur complex ke aage Suncity Garden hai. Yahapar free entry hai. Suncity garden 2 part me devide hai. Raste ke ek taraf garden aur dusri taraf bhi garden banaya hai. Entry karne ke baad bachho ko khelne ke liye jhule lagaye hai. Aur aage bahut saare jhad aur podhe aapko dekhne mil jaayege. Baithne ke liye benches hai aur aaspas tree jo dekhne me bahut hi achha lagta hai. Yahapar bahut saare Rose tree lagaye hai jiske aaspas aap selfie ya video le sakte hai. choti si jheel bhi bani huyi hai aur round me garden banaya hai. Dusri taraf ka garden me bado ke exercise equipment lagaye hai jahapar bahut se log aakar exercise karte hai.

Vasai Beach Suruchi l How to reach Vasai Beach from Vasai Station l Vasai Beach Images

Mere Travel blog me aap sabka welcome. Aaj me Vasai beach ghumne jar ahi hu. Vasai Beach Suruchi ke naam se jana jaata hai. Vasai me bahut saare beach hai jaise kalamb beach, bhuigaon beach etc. Vasai Beach Mumbai Me Vasai me hi rehti hu aur mere ghar se ye beach sirf 15 minute ki duri par hai aur mere pas Activa hai to mujhe jane me aasani hoti hai. Sham ke waqt beach par kayi log ghumne aate hai. Khaskar Saturday Sunday yahapar bahut bheed hoti hai. How to reach vasai beach : Vasai Station se Suruchi ke liye Sharing Auto Rs.30 me mil jayegi ya bus se bhi aa sakte hai   par Bus aapko suruchi tak nahi lekar jayegi Parnaka bus aapko milegi wahase walking distance 15 to 20 minutes hai. Ya fir special auto karke bhi aa sakte hai. Vasai beach Suruchi  Suruchi me beach ke aaspas bahut sare tree hai jaha photoshoot kar skate hai ya family friends ke sath time spend kar sakte hai. Bahut se log yaha lunch ka saman lekar aate hai aur yahi par khate bhi hai. Yaha