Skip to main content

Mahim Ki Dargah Travel Blog - Makhdoom Shah Baba Dargah Mahim - Mumbai Dargah

Mahim ki Dargah jo mumbai me bahut hi famous hai. Makhdoom Fakih Ali Mahimi ke naam se hai jo arab ke rehnewale the aur mahim me aakar bas gaye the. Yaha dur dur se sabhi religion ke log ziyaarat karne aate hai. Mumbai ke kayi bollywood celebrities bhi jiyarat karne aate hai. Ye dargah
travel blog
Mahim Ki Dargah Travel Blog

Baba ke kayi kisse mashhoor hai jinme se ek unki maa ka hai. Unki ma ne ek din rat me pani manga aur Baba pani lekar aaye tab unki maa ki ankh lag gayi aur subah uthe tab tak baba pani lekar khade the to unki maa ne unhe bahut duwaye di. aur aaj unki kirti duniyabhar me hai.

Mahim Dargah Address 

Mahim ki dargah jane ke liye Mahim station se mahim west se walking distance hai 10 minutes ka.Dargah me entry karte waqt aap chaddar ya phool chadhane ke liye le sakte hai. Dargah ke pas masjid bhi hai jaha aap namaz bhi padh sakte hai. Ladies aur gents ki entry alag alag di gayi hai. Andar baithne ke liye bhi achha space hai jaha aurte aur mard baithkar padhte hai.


Mahim Dargah Urus

Mahim ki dargah ka urus me bahut dur dur se log aate hai aur urus me sabse pehle Mumbai Police ki chadar chadhayi jati hai. Mahim ka mela bhi bahut famous hai jo 3 december se 12 december tak rehta hai. Jaha jhule bachho ke khilone aur khane se bhara hua hota hai. Mahim ki dargah ke piche se ek rasta hai jaha se aap samandar ke pas jaa sakte hai.

Mahim Dargah Food

Dargah ke bahar Suleman Usman Mithaiwale ki shop hai jo mumbai famous sweet shop hai jaha ka famous aflatoon khwaja ya nankhatayi aap kharid sakte hai. Dargah ki entrance se pehle bhi aapko khichda seekh kabab ragda aur famous mahim ka falooda khane mil jayega. Aur aap agar garib aur fakir ko bhi khana khilana chahte hai to aapko hotel ke bahar bahut sare log mil jayege.

Mahim me aap agar ghumne ya jiyarat ke liye zarur aaye aapko yaha bahut achha lagega. Aapko mera travel blog kaisa laga zarur bataye.

Other Travel Blog

Mahim Dargah Mumbai - MUmbai Famous Spot

Sanjay Gandhi National Park l Borivali Park Mumbai

Girgaum Chowpatty Mumbai l Mumbai Famous Beach

Comments

Popular posts from this blog

Mumbai Famous Shopping Spot Nakhuda Mohalla, Crawford market, Md.Ali Road

GhumnaaFirnaa Travel blog me aap sabka swagat hai. Aaj me Mumbai ke famous spot Nakhuda mohalla, Crawford market shopping ke liye jar ahi hu. Mumbai famous shopping spot hai.  Nakhuda Mohalla  Maine travel vasai se start kiya. Maine Vasai se   Churchgate ke liye local train pakdi. Vasai se Churchgate ka fair Return ticket Rs.30 hai. Vasai se Churchgate pohochne 1 hour lagta hai. Waise to grant road charni road ya marine lines se bhi taxi mil jati hai nakhuda mohalle ke liye par me Churchgate se jana prefer karti hu because yaha se taxi jaldi mil jati hai. Aur sath hi sath Crawford market bhi ghumkar age ja sakte hai. Churchgate utarne ke bad maine Crawford market ke liye taxi pakdi jiska fair 45 to 50 ke bich hota hai. Aur 15 minute ke andar hum pohch jate hai. Crawford Market Crawford market me aapko hamesha bhid milegi. Readymade cloths, Kitchen accesorries , Sandal shoes ho ya artificial flowers ke liye ye bahut achha market hai.  Crawford Market

Suncity Garden in Vasai West - Travel Blog Mumbai

Aaj me Vasai west ke Suncity garden me ghumne gayi thi. Suncity vasai ka famous spot hai ye Vasai aur nalasopara ke bich me aata hai. Vasai station se 100ft road se 1km aage jane par ye Garden hai.Agar aap bhi Vasai Park search kar rahe hai to aap ye park ek baar zarur visit kare. Suncity Garden In  Suncity park bahut hi bada complex hai aur complex ke aage Suncity Garden hai. Yahapar free entry hai. Suncity garden 2 part me devide hai. Raste ke ek taraf garden aur dusri taraf bhi garden banaya hai. Entry karne ke baad bachho ko khelne ke liye jhule lagaye hai. Aur aage bahut saare jhad aur podhe aapko dekhne mil jaayege. Baithne ke liye benches hai aur aaspas tree jo dekhne me bahut hi achha lagta hai. Yahapar bahut saare Rose tree lagaye hai jiske aaspas aap selfie ya video le sakte hai. choti si jheel bhi bani huyi hai aur round me garden banaya hai. Dusri taraf ka garden me bado ke exercise equipment lagaye hai jahapar bahut se log aakar exercise karte hai.

Vasai Beach Suruchi l How to reach Vasai Beach from Vasai Station l Vasai Beach Images

Mere Travel blog me aap sabka welcome. Aaj me Vasai beach ghumne jar ahi hu. Vasai Beach Suruchi ke naam se jana jaata hai. Vasai me bahut saare beach hai jaise kalamb beach, bhuigaon beach etc. Vasai Beach Mumbai Me Vasai me hi rehti hu aur mere ghar se ye beach sirf 15 minute ki duri par hai aur mere pas Activa hai to mujhe jane me aasani hoti hai. Sham ke waqt beach par kayi log ghumne aate hai. Khaskar Saturday Sunday yahapar bahut bheed hoti hai. How to reach vasai beach : Vasai Station se Suruchi ke liye Sharing Auto Rs.30 me mil jayegi ya bus se bhi aa sakte hai   par Bus aapko suruchi tak nahi lekar jayegi Parnaka bus aapko milegi wahase walking distance 15 to 20 minutes hai. Ya fir special auto karke bhi aa sakte hai. Vasai beach Suruchi  Suruchi me beach ke aaspas bahut sare tree hai jaha photoshoot kar skate hai ya family friends ke sath time spend kar sakte hai. Bahut se log yaha lunch ka saman lekar aate hai aur yahi par khate bhi hai. Yaha