Skip to main content

Sanjay Gandhi National Park Entry Fees 2018 l Mumbai Travel Blog l Borivali National Park

Aaj me Sanjay Gandhi National Park ghumne gyi thi. Jo mumbai ka 104sq km. cover karta hai aur Asia ka most visited National park hai jiske 2 million annual visitor hai. Sanjay gandhi national park  Largest park in the world within city limits. Sanjay gandhi national park city ke nazdik hone ke sath ekmatra forest reserve ke liye mana jata hai.
travel blog
Sanjay Gandhi National Park Borivali 
Sanjay gandhi National park jise Borivali National park ke nam se jana jata hai. Duniya bhar se 10 lakh se jyada log yaha ghumne aate hai. Ye park ka main attraction yaha ka atmosphere falura aur fauna hai.
Main Vasai se safar shuru kiya aur Local train se Borivali hault ki. Vasai se Borivali ka return ticket Rs.20 hai. Borivali east me jakar auto mil jayegi national park ke liye jiska fair Rs.18 hai. Walking distance 15 minutes.
SGNP ghumne ke liye atleast adha din zaruri hai tabhi aap achhi tarah se park ghum payege. National Park me bahut sare ghumne ke option hai jaise Kanheri caves, Toy train, Lion & Tiger safari Gandhi Tekdi, etc

Sanjay Gandhi National Park Timings Entry Fee
National Park ka timing Morning 7.30 se evening 6.30 tak rehta hai. National Park me entry fee Rs.58 for adult. Kanheri caves, toy train, aur safari ka aapko alag se fee pay karna padega.
Activa se aap agar ghumna chahte hai to Rs.600 pay karna padega 3 hours ke liye aur aap 3 hours tak activa pe ghum sakte hai.Activa ka option2018 se shuru hua hai. Kanheri caves ke liye Rs.50 per seat pay karna hoga.

National park me entry karne ke bad ghumne ke liye me sabse pehle jheel ki taraf aayi par unluckily tab jheel band thi aur me ghum nahi paayi waha se aage hote huye humne road par fruit khaya jo Rs.10 me milta hai Aur jheel ke pas me bachho ko khelne ke liye jhule aur bado ke liye exercise karne ke liye option diye huye hai jaha bachhe aur bade enjoy kar sakte hai.

National Park Gandhi Tekdi :
Wahase aage badhne ke bad hum gandhi tekdi ki taraf badhe aur steps ka istemal karke aap upar Gandhi tekdi ki taraf badhe aur aaps pas greenary aur steps bahut amazing nazara hota hai.

 
 Gandhi tekdi pohochne ke bad sachme upar chadne ka bikul afsos nahi hoga. Thoda sa exercise bhi ho jayegi sath hi sath upar bahut hi tazi hawa milegi aur gandhi tekdi ke upar round bana hua hai wahapar baithke aur nazara dekhkar maza aa jayega. Sath hi sath Fishtank aur kamal ka phool waha laga hai.
National Park Food :
National park me aapko khane ke liye bahut kam chize milegi Jaise Peru, Ber. Kakdi, Emli ya chana chaat milega iske alawa aapko kuch nahi milega. Har family apne khane ka saman sath lekar aati hai. Agar aap picnic ke liye aaye to tiffin zarur laaye aur enjoy kare.

Ek bar National Park zarur visit kare. Narure ka nazara aur weekend ho ya picnic spot ya adventure sab aapko yaha mil jayega.Aur full paisa wasool spot hai. 

Other Mumbai Travel Blog :

Mahim Dargah Mumbai - MUmbai Famous Spot

Girgaum Chowpatty Mumbai l Mumbai Famous Beach

Comments

Popular posts from this blog

Mumbai Famous Shopping Spot Nakhuda Mohalla, Crawford market, Md.Ali Road

GhumnaaFirnaa Travel blog me aap sabka swagat hai. Aaj me Mumbai ke famous spot Nakhuda mohalla, Crawford market shopping ke liye jar ahi hu. Mumbai famous shopping spot hai.  Nakhuda Mohalla  Maine travel vasai se start kiya. Maine Vasai se   Churchgate ke liye local train pakdi. Vasai se Churchgate ka fair Return ticket Rs.30 hai. Vasai se Churchgate pohochne 1 hour lagta hai. Waise to grant road charni road ya marine lines se bhi taxi mil jati hai nakhuda mohalle ke liye par me Churchgate se jana prefer karti hu because yaha se taxi jaldi mil jati hai. Aur sath hi sath Crawford market bhi ghumkar age ja sakte hai. Churchgate utarne ke bad maine Crawford market ke liye taxi pakdi jiska fair 45 to 50 ke bich hota hai. Aur 15 minute ke andar hum pohch jate hai. Crawford Market Crawford market me aapko hamesha bhid milegi. Readymade cloths, Kitchen accesorries , Sandal shoes ho ya artificial flowers ke liye ye bahut achha market hai.  Crawford Market

Suncity Garden in Vasai West - Travel Blog Mumbai

Aaj me Vasai west ke Suncity garden me ghumne gayi thi. Suncity vasai ka famous spot hai ye Vasai aur nalasopara ke bich me aata hai. Vasai station se 100ft road se 1km aage jane par ye Garden hai.Agar aap bhi Vasai Park search kar rahe hai to aap ye park ek baar zarur visit kare. Suncity Garden In  Suncity park bahut hi bada complex hai aur complex ke aage Suncity Garden hai. Yahapar free entry hai. Suncity garden 2 part me devide hai. Raste ke ek taraf garden aur dusri taraf bhi garden banaya hai. Entry karne ke baad bachho ko khelne ke liye jhule lagaye hai. Aur aage bahut saare jhad aur podhe aapko dekhne mil jaayege. Baithne ke liye benches hai aur aaspas tree jo dekhne me bahut hi achha lagta hai. Yahapar bahut saare Rose tree lagaye hai jiske aaspas aap selfie ya video le sakte hai. choti si jheel bhi bani huyi hai aur round me garden banaya hai. Dusri taraf ka garden me bado ke exercise equipment lagaye hai jahapar bahut se log aakar exercise karte hai.

Vasai Beach Suruchi l How to reach Vasai Beach from Vasai Station l Vasai Beach Images

Mere Travel blog me aap sabka welcome. Aaj me Vasai beach ghumne jar ahi hu. Vasai Beach Suruchi ke naam se jana jaata hai. Vasai me bahut saare beach hai jaise kalamb beach, bhuigaon beach etc. Vasai Beach Mumbai Me Vasai me hi rehti hu aur mere ghar se ye beach sirf 15 minute ki duri par hai aur mere pas Activa hai to mujhe jane me aasani hoti hai. Sham ke waqt beach par kayi log ghumne aate hai. Khaskar Saturday Sunday yahapar bahut bheed hoti hai. How to reach vasai beach : Vasai Station se Suruchi ke liye Sharing Auto Rs.30 me mil jayegi ya bus se bhi aa sakte hai   par Bus aapko suruchi tak nahi lekar jayegi Parnaka bus aapko milegi wahase walking distance 15 to 20 minutes hai. Ya fir special auto karke bhi aa sakte hai. Vasai beach Suruchi  Suruchi me beach ke aaspas bahut sare tree hai jaha photoshoot kar skate hai ya family friends ke sath time spend kar sakte hai. Bahut se log yaha lunch ka saman lekar aate hai aur yahi par khate bhi hai. Yaha