Skip to main content

Vasai Beach Suruchi l How to reach Vasai Beach from Vasai Station l Vasai Beach Images


Mere Travel blog me aap sabka welcome. Aaj me Vasai beach ghumne jar ahi hu. Vasai Beach Suruchi ke naam se jana jaata hai. Vasai me bahut saare beach hai jaise kalamb beach, bhuigaon beach etc.
travel
Vasai Beach Mumbai
Me Vasai me hi rehti hu aur mere ghar se ye beach sirf 15 minute ki duri par hai aur mere pas Activa hai to mujhe jane me aasani hoti hai. Sham ke waqt beach par kayi log ghumne aate hai. Khaskar Saturday Sunday yahapar bahut bheed hoti hai.

How to reach vasai beach :
Vasai Station se Suruchi ke liye Sharing Auto Rs.30 me mil jayegi ya bus se bhi aa sakte hai  par Bus aapko suruchi tak nahi lekar jayegi Parnaka bus aapko milegi wahase walking distance 15 to 20 minutes hai. Ya fir special auto karke bhi aa sakte hai.

Vasai beach Suruchi 
Suruchi me beach ke aaspas bahut sare tree hai jaha photoshoot kar skate hai ya family friends ke sath time spend kar sakte hai. Bahut se log yaha lunch ka saman lekar aate hai aur yahi par khate bhi hai. Yahapar kayi serial ki shooting bhi aati rehti hai. Ye bhid bhari jagah se bahut alag hai agar aap shanti aur ekant ka lutf uthana chahte hai to ye aapke liye bahut achhi jagah hai.

Suruchi me samandar ke pas kayi sare log cricket football khelte rehte hai. Bada beach hone ke karan yaha aapko achha lagega. Koi samandar ki lhero me pani family aur friends ke sath enjoy karte dikhayi dege. Couple ke liye bhi ye achha spot hai.

Suruchi me Horse riding bhi kar sakte hai Rs.50 me aapko 1 round mil jayega.Sath hi sath yaha bachho ke liye kayi sare jhule aur rides hai. Jaha bachhe bhi enjoy kar sakte hai.

Vasai Beach Food :
Yahapar aapko fast food mil jayege jaise vada pav, Bhutta, Chana masala, Bhutta etc. Par jyadatar sabhi chize Saturday Sunday ko available hoti hai.


Aur agar aap Fast food ke alwa Restaurant me khana chahte hai to Suruchi me enter hone se pehle Ek restaurant hai jiska Nam Suruchi zeal hai wahapar aap lunch ya dinner kar sakte hai.
Aapko Vasai beach pasand aaya hoga agar aap ghumne aana chahte hai to Me suggest karugi aap Saturday ya Sunday ko visit kare. U will love this place.

Thank u…

Other Mumbai Travel Blog :

Mahim Dargah Mumbai - MUmbai Famous Spot

Sanjay Gandhi National Park l Borivali Park Mumbai

Girgaum Chowpatty Mumbai l Mumbai Famous Beach

Comments

  1. कोठीपुरा के बाड़े में कुछ बता देता ठीक होता

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Mumbai Famous Shopping Spot Nakhuda Mohalla, Crawford market, Md.Ali Road

GhumnaaFirnaa Travel blog me aap sabka swagat hai. Aaj me Mumbai ke famous spot Nakhuda mohalla, Crawford market shopping ke liye jar ahi hu. Mumbai famous shopping spot hai.  Nakhuda Mohalla  Maine travel vasai se start kiya. Maine Vasai se   Churchgate ke liye local train pakdi. Vasai se Churchgate ka fair Return ticket Rs.30 hai. Vasai se Churchgate pohochne 1 hour lagta hai. Waise to grant road charni road ya marine lines se bhi taxi mil jati hai nakhuda mohalle ke liye par me Churchgate se jana prefer karti hu because yaha se taxi jaldi mil jati hai. Aur sath hi sath Crawford market bhi ghumkar age ja sakte hai. Churchgate utarne ke bad maine Crawford market ke liye taxi pakdi jiska fair 45 to 50 ke bich hota hai. Aur 15 minute ke andar hum pohch jate hai. Crawford Market Crawford market me aapko hamesha bhid milegi. Readymade cloths, Kitchen accesorries , Sandal shoes ho ya artificial flowers ke liye ye bahut achha market hai.  Crawford Market

Suncity Garden in Vasai West - Travel Blog Mumbai

Aaj me Vasai west ke Suncity garden me ghumne gayi thi. Suncity vasai ka famous spot hai ye Vasai aur nalasopara ke bich me aata hai. Vasai station se 100ft road se 1km aage jane par ye Garden hai.Agar aap bhi Vasai Park search kar rahe hai to aap ye park ek baar zarur visit kare. Suncity Garden In  Suncity park bahut hi bada complex hai aur complex ke aage Suncity Garden hai. Yahapar free entry hai. Suncity garden 2 part me devide hai. Raste ke ek taraf garden aur dusri taraf bhi garden banaya hai. Entry karne ke baad bachho ko khelne ke liye jhule lagaye hai. Aur aage bahut saare jhad aur podhe aapko dekhne mil jaayege. Baithne ke liye benches hai aur aaspas tree jo dekhne me bahut hi achha lagta hai. Yahapar bahut saare Rose tree lagaye hai jiske aaspas aap selfie ya video le sakte hai. choti si jheel bhi bani huyi hai aur round me garden banaya hai. Dusri taraf ka garden me bado ke exercise equipment lagaye hai jahapar bahut se log aakar exercise karte hai.